Songs of Hindi Movie - aabroo Hindi Song Title: Jinhe hum bhoolana chaahe
Singer(s): MUKESH

Hindi Lyrics:

jinhe hum bhoolanaa chaahe, wo aksar yaad aate hain
buraa ho is mohabbat kaa, wo kyon kar yaad aate hain

bhoolaaye kis tarah un ko, kabhee pee thee un aankhon se
chhalak jaate hain jab aansoo, wo saagar yaad aate hain

kisee ke sunrkha lab the yaa diye kee lau machalatee thee
jahaa kee thee kabhee poojaa, wo mandar yaad aate hain

rahe aye shammaa too roshan  duwaan detaa hain parawaanaa
jinhe kismat mein jalanaa hain, wo jalakar yaad aate hain