Songs of Hindi Movie - aabroo Hindi Song Title: Yeh Vadi E Kashmir
Singer(s): MOH. RAFI

Hindi Lyrics:

har chehra yahan chaand to har zarra sitara
ye vaadi-e-kashmir hai ( jannat kaa nazaaraa ) -2
har chehra yahaan …

hasati hain jo kaliyaa to hasin phul hain khilate
hain log yahaan jaise utar aaye farishte
har dil se nikalti hai yahaan pyar ki dhaara
ye vaadi-e-kashmir …

ye chotiyan barafon ki hain aazadi ka parcham
hansti hai Gulami pe ye inasan ki hardam
deti hai aakash ko baahon ka sahara
ye vaadi-e-kashmir …

din-raat hava saaj bajati hai suhaane
nadiyon ke labon par hain mohabbat ke taraane
masti mein hai duba hua behosh kinara
ye vaadi-e-kashmir …

ye jalva-e-rangin hai kisi Khwab ki taabir
yaa phulon mein baithi hui dulhan ki hai tasvir
ya tham gaya chalta huaa pariyon ka shikara
ye vaadi-e-kashmir …