Sun 3 Jun 2007
![]() |
Hindi Song Title: Yeh Vadi E Kashmir Singer(s): MOH. RAFI |
Hindi Lyrics:
har chehra yahan chaand to har zarra sitara ye vaadi-e-kashmir hai ( jannat kaa nazaaraa ) -2 har chehra yahaan … hasati hain jo kaliyaa to hasin phul hain khilate hain log yahaan jaise utar aaye farishte har dil se nikalti hai yahaan pyar ki dhaara ye vaadi-e-kashmir … ye chotiyan barafon ki hain aazadi ka parcham hansti hai Gulami pe ye inasan ki hardam deti hai aakash ko baahon ka sahara ye vaadi-e-kashmir … din-raat hava saaj bajati hai suhaane nadiyon ke labon par hain mohabbat ke taraane masti mein hai duba hua behosh kinara ye vaadi-e-kashmir … ye jalva-e-rangin hai kisi Khwab ki taabir yaa phulon mein baithi hui dulhan ki hai tasvir ya tham gaya chalta huaa pariyon ka shikara ye vaadi-e-kashmir …
